Aankhain khuli rahain gi toh manzar bhi ayen gay Zinda hai dil toh aur sitamgar bhi ayen gay Pehchaan lo tamaam faqeeron kay khadd-o- khaal Kuch log shab ko bhais badal kar bhi ayen gay Gehri khamosh jheel kay paani ko yun na chaidh Cheenthay uday toh teri qaba par bhi ayen gay Khud ko chhupa na sheesha garon ki dukaan main Sheeshay chamak rahey hain toh pathar bhi ayen gay
teri khushbu ka pata karti hai mujh pe ehsan hawa karti hai shab ki tanhai main ab to aksar guftagu tujh se raha karti hai dil ko us rah pe chalna hi nahin jo mujhe tujh se juda karti hai zindagi meri thi lekin ab to tere kahne main raha karti hai us ne dekha hi nahin WaRNa ye ankh dil ka ehwal kaha karti hai beniyaz-e-kaf-e-dariya angusht ret par nam likha karti hai sham parte hi kisi shakhs ki yad kucha-e-jan main sada karti hai mujh se bhi us ka hai waisa hi suluk hal jo tera ana??? karti hai dukh hua karta hai kuch aur bayan bat kuch aur hua karti hai abr barse to inayat us ki shakh to sirf dua karti hai masla jab bhi utha chiragon ka faisala sirf hawa karti hai
Yaad nahi kya kya dekha tha sare manzar bhool gaye us ke galiyon se jab laute apna bhi ghar bhool gaye khub gaye pardes ki apne divar-o-dar bhool gaye shish-mahal ne aisa ghera matti ke ghar bhool gaye tujh ko bhi jab apni qasamen apne wade yaad nahi hum bhi apne khwab teri aankhon mein rakh kar bhool gaye mujh ko jinhone qatl kiya hai koi unhen batalaye “amir” meri lash ke pehlu mein wo apna khanjar bhool gaye
Kaisay kahoon k apna bana lou mujhey bahoun mein apni sama lou mujhey Bin tumharey aik pal bhi ab kat-ta nahin Tum aa ker mujhi say chura lou mujhey Zindagi tou woh hai sang tumharey jo guzrey Dunya kay gamoun say ab chura lou mujhey Meri sab say gehri khuwahish hou puri Tum agar pass apnay bula lou mujhey Yeh kaisa nasha hai jou behka raha hai Tumhara hoon mein tou sambhalo mujhey Najanay phir kaisay guzrey gi zindagani Agar apnay dil say kabhi tum nikalo mujhey
kitni mushkil se kati kal ki meri raat na pooch dil se nikli hui honton me dabi baat na pooch wo kis adaa se merey saamnay se guzraa abhi kis tarha mainay sambhaley merey jazbaat na pooch waqat jo badley to insaan badal jaatey hain kya nahi dikhlaatey yeh gardish-e-halaat na pooch wo kisi ka ho bhi gaya or mujhey khabar na hui kis tarhan usney chudaya hai mujh se haath na pooch Is tarhan pal mein mujhay begana kar diya usnay Kis tarhan apno se khaai hai mainey maat na pooch ab tera pyaar nahi hai to sanam kuch bhi nahi kitni mushkil se bani thi dil ki kayenaat na pooch
aik dia dil main jalana bhi, bujha bhi daina, Yaad KaRNa bhi usey roo, bhula bhi daina, Kia kahon yeh meri chahat hai k nafrat is ki, Naam likhna bhi maira, likh k mita bhi daina, Phir na milnay ko bicharta hon tuj say laikin, Murr k daikhon to palatnay ki dua bhi KaRNa, Khat bhi likhna usay, mayoos bhi rahna us say, Jurm KaRNa bhi magar khud ko saza bhi daina, Mujh ko rasmon ka takalluf bhi gawara laikin, Jee main ayai to yeh diwar gira bhi daina, Soorat-e-naqsh-e- qadatm, dasht main rehna, Apnay honay say na honay ka pata bhi daina
Aik bay rang sa manzar hai kahan tak sochon zindagi main terey baray main kahan tak sochon Phenknay walay nay tu door say pathar phenkay aur main sirf paroosi k makaan tak sochon Tera chehra bhi na yaad aye k tu kaisa hai main tujhay sooch k reh jaaon yahan tak sochon Loog jis mor per ghabra k bechar jaatay hain tujh say milnay ka yaqeen ho tu wahan tak sochon
Nazar Main Zakhm-e- Tabbasum Chupa Chupa k mila Khafa To Tha Wo Magar Mujhse Muskura k Mila Wo Humsafar K Mere Tanz Pe Hansta Tha Bohat Sitam Zareef Muje Aaina Dikha Ke Mila Mere Mizaj pe Hairan Hai Zindagi Ka Shaoor Main Apni Moat Ko Aksar Gale Laga K Mila Main Us Se Mangta Kia Khoon Baha Jawani Ka K Wo Bhi Aaj Muje Apna Ghar Luta k mila Main jisko Dhoond Raha Tha Nazar Ke Raste Main Mujhe Mila Bhi Tou Zalim Nazar Jhuka K Mila Main Zakham-e-Zakham Badan Le K Chal Dia Wo Jab Bhi Apni qabar Per Kanwal Saja K mila
Asalaam ul kum wa rahmatulla wa brakatah: Ek Aas Lgaye Betha Hun Ek Bar MADINA Dekhun Me Us Shehr Ki Pur Kaif Hwaon Me Ek Bar To Jina Dekhun Me Pyasa Ho Aab e KOSAR Ka Ek Bar To Pina Dekhun Me Phr Chahe Hosh Gwa Betho Bs Ek Bar MADINA Dekhun Me A ALLAH Jis ne ye likha. jis ne ye prha. jis jis ne agy. bejha Sbki dua qabol frma..!! (AAMEEN). Subha bakhir
1 Buzurg Aadmi Ki Aankho Ka Opration Hua Doctor Ne SAJDA Karne Se Mana Kiya Aur 14 Din Ishare Se Namaz Padhne Ko Kaha Buzurg Ne Khana Peena Chor Diya 1, 2 Din To Ghar walon Ne Samjha Ke Shayad Roti Chabate Waqt Aankho Ko Taklif Hoti Hogi Kuch Dino Ke Baaad Ghar Walo Ne Puch Hi Liya Ke Doctor Ne To Sajda Karne Se Mana Kiya He Na Ke Khana Khane Se??? Buzurg Ne Bahut Hi Khubsurat Jawab Diya Ke JIS KO SAJDA NA KAR SAKU US KA RIZQ KHATE HUE SHARAM AATI HE So Dosto Kabhi Bhi Namaaz Ko Miss Mat Karo ALLAH Hame 5 Waqt Ki Namaaz Jama’at Ke Saat Parhne Ki Taufeeq Ata Farmaye AAMIN SUMMA AAMIN
Mard k kafan mai 3 kapde hote hain, jabke musalman aurat k Kafan mai 5 kapde hote hain, 2 zaed kapdon main skarf aur dusra seena band(chest cover)hota hai, Afsoos hai us musalman aurat par jo puri zindagi apna SAR aur SEENA khula chhode,lekin Marna k bad Allahta’ala apne pass un Aaza ko dhak kr hi bulate hain, Ae musalmaan Aurat afsos hai tujh par ALLAH tujh se Haya krte hain Lekin tu ALLAH bilkul haya nhi krti…?
Zulm Karne Walon Ko Kartooton Se Allah Taala Ko Ghafil Na Samjho. Woh To Unhain Us Din Tak Mohlat Diye Huye Hain. Jis Din Aankhen Phati Ki Phati Reh Jaengi. (Surah Ibrahim, Ayat:24)
ALLAH ne "SOOD" se Roka, Humne Bank Bana diye, ALLAH ne "Zina" se roka, Humne Cable chala dia, ALLAH ne "Parde" ka hukm dia, Humne be-hyai ko aam krdia, ALLAH ne kaha mere NABI ki sunnat ko na chorna, Humne Ghairo k Tariqe apna lye, ALLAH ne kaha QURAN me tmhari kamyabi poshida hai, Hum usy OXFORD ki kitabo me dekhte hen, Zara Sochiye k hm isi wja se preshan or Zalil ho rahe hen, Jisko Razi Karna tha usi ko Naraz Kar Dia.